honton pe mere naam e ali naam e ali hai
sunkar jise mushkil badi mushkil may padi hai
apna to wohi rab wohi quran o nabi hai
chauda sau baras pehle jo tha deen wohi hai
honton pe mere…
hai baara imamo ki wohi rehbari ab bhi
ek baat bhi isme na badi hai na ghati hai
honton pe mere…
hai panjetan e paak kisi darse ibarat
apne liye jo raahe amal humne chuni hai
honton pe mere…
maa kehti thi qasim to suye khuld sidhare
kubra ke muqaddar may likhi dar badari hai
honton pe mere…
bano ka ye nauha ke kab aaoge asghar
aghosh may lene ko ye maa dar pe khadi hai
honton pe mere…
gardan se sakina ke koi khol de rassi
bachi ka gala ghut'ta hai ab saans ruki hai
honton pe mere…
zainab ne kaha chod gayi saath sakina
nanhi si lehad shaam ke zindan may bani hai
honton pe mere…
shehzadi kahi jaati thi koofe may jo zainab
be-parda wahin ab sare darbar khadi hai
honton pe mere…
beti hai yehi fatema zehra o ali ki
bazaron may jo saath chali jo ke phiri hai
honton pe mere…
ye matame sheh zeest ka haasil hai mujahid
dam seene may jab tak hai yehi nauhagiri hai
honton pe mere…