dard may doobi fiza hai saara aalam soghwaar
har taraf se naala o shewan ki aati hai pukar
tera matam mere maula kare dunya haye
har lab par tera nauha rahe maula haye
hyder hyder hyder hyder
uneeswi ramzan ki kaisi sehar aayi
daaghe yateemi zainab o kulsoom ki laayi
jibreel ki faryad sun ke royi maajayi
fizza musalla chod ke ek baar chillayi
sar e masjid bain karte hai rozadaar
hai apne khoon may ghaltan syed sardar
hyder hyder hyder hyder...
jab masjid e kufa se ghar aap ko laaye
sab betiyan sar peet ke kehne lagi haye
kis shaan se baba gaye kis haal may aaye
hum log abhi tak maa ka sadma bhool na paaye
nahi baba zabt ka yaara hui jo bedaar
saara kufa ro ro kar kar ye faryaad
hyder hyder hyder hyder...
jarrah ne jab zakm ko dekha to ye bola
tukde jabeen maula ki hai aur zakhm hai gehra
khoon beh chuka hai is qadar ke zard hai chehra
kuch roz ka mehman hai ab khalq ka maula
ay logon farsh bichao ab matam ka
karo mil ke aah o zaari kaho alwida
hyder hyder hyder hyder...
saare namazi ro diye is baat ko sun kar
milke gale rone lage shabbir se shabbar
wa hasrata ke bain thay sadaat ke lab par
kulsoom ghash khane lagi aur zainb e muztar
sabhi karte thay wavaila peer o jawan
karte thay ahle kufa bas ye fughan
hyder hyder hyder hyder...
ghar se chale taboot ko lekar pisar jis dam
tha khaana e zehra may ek kohraam ka aalam
karte thay sab hi seena o sar peet ke matam
zainab pukari jee nahi payenge baba hum
chale sab hi khaak udaate tere hubdaar
tere gham may nauha padte hai matamdar
hyder hyder hyder hyder...
safdar bada dushwaar hai tehreer may laana
alfaaz may sadaat ke ehwaal batlaana
hai aansuon se zabt ka labrayz paimana
ek maujiza hai lafz ka nauhe may dhal jaana
kahe ye qirtaas aur khaama hyder maula
tere gham ashoor jaisa hyder maula
hyder hyder hyder hyder...