Kanz e Aza

Hyder ka Janaza

A noha for Imam Ali (a.s), written by Sharar Naqvi. Lyrics in Roman Urdu.

kufe mein har ek samt ajab shor bapa hai

sajde mein namazi pa bada zulm hua hai

is zulm ki shiddat se jahan kaamp raha hai

sab rote hai maghmoon zamane ki sada hai


hyder ka janaza hai ye hyder ka janaza

hasnain ke kaandhon pe hai hyder ka janaza


ay momino sarwar ki yateemi ka hai ye waqt

kulsoom ki shabbar ki yateemi ka hai ye waqt

ab uthne ko tayyar hai rehbar ka janaza

hyder ka janaza...


zainab ki bhi aankhon mein nazar aate hai aansu

abbas jo rote hai ajab hashr hai har soo

ay shio hai ye deen ke muqaddar ka janaza

hyder ka janaza...


rone ki sadayein hai ajab aah o fughan hai

jibreel ke honton pe musalsal ye bayan hai

kufe mein utha faatahe khyber ka janaza

hyder ka janaza...


hasnain se ek ye bhi wasiyat thi ali ki

le jaana ujaale mein na mayyat ko hamari

beton hai payambar ke dilawar ka janaza

hyder ka janaza...


wo bibi ke jis bibi ki todi gayi phasli

mazlooma wohi bibi payambar ki thi beti

hai ye us gham-khayi ke shohar ka janaza

hyder ka janaza...


ay momino rowo ke ali hogaye ruqsat

hai qaana e zehra mein bapa ek qayamat

uth'ta hai zamane ke bahadar ka janaza

hyder ka janaza...


kis tarha bhala inki musibat likhe koi

rone ke liye momino jumla hai ye kaafi

hyder ka janaza hai ye hyder ka janaza ye

hyder ka janaza...


is waaste ghazi ne ki sarwar se wasiyat

maula nahi le jaana meri qaimon mein mayyat

uth'ta nahi bhai se baradar ka janaza

hyder ka janaza...


hyder ke janaze ko bhi sarwar ne uthaya

irfan sharar phat'ta hai ye sunke kaleja

maidan se utha nahi sarwar ka janaza

hyder ka janaza...