zindan se aa rahi hai yehi aaj bhi sada
sadiyan guzar gayi mujhe pani nahi mila
mai bahot pyasi hoon
wo saathween ki shab thi ke baba hussain ne
pani diya tha mujhko shahe mashraqain ne
sairaab hoke phir kabhi pani nahi piya
mai bahot pyasi hoon
zindan se aa rahi hai...
pani piyun mai kaise chacha jaan mar gaye
ek roz mein sakina ke armaan bikhar gaye
karna na mujhse koi bhi pani ka tazkira
mai bahot pyasi hoon
zindan se aa rahi hai...
wo pyaas thi ke meri chatakti thi haddiyan
mera ye haal dekh ke roti thi bibiyan
sajjad khoon rote thay sun kar ye marsiya
mai bahot pyasi hoon
zindan se aa rahi hai...
ek roz qaid khane mein sajjad ne kaha
kyun teri khaal hone lagi jism se juda
maine kaha tadap ke mere bhai ba-khuda
mai bahot pyasi hoon
zindan se aa rahi hai...
mehsoos ab bhi hota hai roti hai bibiyan
sunte hai log ab bhi sakina ki siskiyan
haan ab bhi qaid khane se aati hai ye sada
mai bahot pyasi hoon
zindan se aa rahi hai...
pyasi shaheed hogayi zindan mein wo hazeen
dukhiya ko marte waqt bhi pani mil nahi
is waaste ye nauha sharar naqvi hai likha
mai bahot pyasi hoon
zindan se aa rahi hai...