mai sakina hoo mera dard hai itna baba
mujhko zaalim ne kaneezi mein hai maanga baba
maine daadi ki tarha itne masayib dekhe
chaar barson mein hi lagti hoo zaeefa baba
mai sakina hoo...
jo teri laash pa daudaate thay ghode ran mein
wo tamachon se mujhe dete hai pursa baba
mai sakina hoo...
kaash mar jaaun mai asghar ko hi rote rote
mai kahan karti hoo pani ka taqaza baba
mai sakina hoo...
poori shiddat se mujhe maara tamacha jis ne
uske haathon se mera chehra hai chota baba
mai sakina hoo...
ungliyon ke to kahin par hai angoothi ke nishan
kaise pehchanoge tum beti ka chehra baba
mai sakina hoo...
is qadar shaam ke zindan mein tareeki hai
haath apna bhi nahi mujhko hai dikhta baba
mai sakina hoo...
bhaiya sajjad se nazrein na milayi maine
maine bazaar mein jab khaaya tamacha baba
mai sakina hoo...
shaam waalon se na pani na kafan maangungi
mai na ehsaan yahan loongi kisi ka baba
mai sakina hoo...
rakh ke moo baap ke sar par wo pukari darwesh
ab na jaagegi kabhi teri sakina baba
mai sakina hoo...