ye nauha sakina ka hai
mai seene pe baba ke so'un kahan
teer hi teer hai
haye teer hi teer hai
kund khanjar se sookha gala kat gaya
mera baba magar phir bhi pyasa raha
aagayi raat maine na pani piya
itne seene pe hai zakhme noke sina
teer hi teer hai
mai seene pe baba ke...
dekhiye dada baba ka kya haal hai
dadi zahra yehi aap ka laal hai
laash ghodon ki taapon se pamaal hai
jism tukde hua tooti hai phasliyan
teer hi teer hai
mai seene pe baba ke...
dekh kar teer hi teer roti hoo mai
bolte kyun nahi jaan khoti hoo mai
aap ke sirf sine pe soti hoo mai
neend aati hai lekin mai so'un kahan
teer hi teer hai
mai seene pe baba ke...
jal chuke qaime aur chadarein chin chuki
berida meri phupiyan hai baithi wahin
is jagah bhi na aajaye shimr e layeen
mera kurta jala chin chuki baaliyan
teer hi teer hai
mai seene pe baba ke...
bhaiya sajjad par ab hai mushkil badi
aap ke baad kya kya musibat padi
dekhiye aap ke paas mai hoo khadi
ye tamachon ke rukhsar par hai nishan
teer hi teer hai
mai seene pe baba ke...
mai to samjhi thi yan hoga asghar mera
teer se chid gaya jiska nanha gala
aake seene pe wo aap ke sogaya
baba batlayein hai mera asghar kahan
teer hi teer hai
mai seene pe baba ke...
laashe qasim ki surat hai laash aap ki
hai kamar bhai ke gham se tooti hui
zakhme akbar jigar se hai rista abhi
ab bhi nikli nahi hai wo noke sina
teer hi teer hai
mai seene pe baba ke...
akhm baazu pe pyase baradar ka hai
zakhm seene pe baba ye akbar hai
hai jo gardan kati zakhm asghar ka hai
kaise so'un ye hai ap ka imtehan
teer hi teer hai
mai seene pe baba ke...
ro rahi hai zameen rota hai asmaan
ay qamar ye batayein imam e zaman
seena sone ko mil jaaye ho shadman
teer kaise nikalegi ye natawan
teer hi teer hai
mai seene pe baba ke...