pukaro aise ke mera imam aa jaaye
mera bhi lashkar e mehdi may naam aa jaaye
pukaro aise ke mera imam aa jaaye
wilaye haq may jihad e ghulam jaari hai
faraaz e daar pe meesam ka kaam jaari hai
zuban kat gayi lekin kalaam jaari hai
dua karo hamay tarze kalaam aa jaaye
pukaro aise ke mera...
qaraar ke liye hai beqaraar pehle se
dar e imam pe hai jaan nisar pehle se
bahot hai bheed banalo qataar pehle se
chalo chalo ke ghulamon may naam aa jaaye
pukaro aise ke mera...
koi to raahe shahadat pe chalne waala hai
hai koi hurr ki tarha jo sambhalne waala hai
zara si dayr may suraj nikalne waala hai
palak jhapakne may unka payaam aa jaaye
pukaro aise ke mera...
amal se door hai dunya ki chaah ghalib hai
jo haal hai yehi kehna yahan munasib hai
imam to nahi ghayab awaam ghayab hai
imam aayenge pehle awaam aa jaaye
pukaro aise ke mera...
qadam imam e zaman ka rahe saba'at may hai
ali ki taygh hai quran unke saath may hai
nizaam e adl imam e zaman ke haath may hai
hamare mulk may bhi wo nizaam aa jaaye
pukaro aise ke mera...
imam e asr se milne ki jaa hai farshe azaa
namaz padh ke har ek maang le alam pe dua
jise bhi karni hai karle ziyarat e maula
wo majlison may basad ehteraam aa jaaye
pukaro aise ke mera...
hussaini maaon ne kirdaar inka daala hai
payaam e karbobala ne inhe sambhala hai
imam ke liye bacchon ko maine paala hai
mera ye lakhte jigar unke kaam aa jaaye
pukaro aise ke mera...
fida e asghar e baysheer aaj hona hai
wila e akbar e mehru ne barchiyan khayein
khuda ki raah may hum bhi shaheed ho jaye
hamare haath may kausar ka jaam aa jaaye
pukaro aise ke mera...