Kanz e Aza

Sadiyon se Ek Raat

A noha written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

kehte hai ye imame zaman ay karbala

sadiyon se ek raat bhi soya nahi hoo mai


jee khol kar hussain ko roya nahi hoo mai

sadiyon se ek raat bhi soya nahi hoo mai


doobi hui lahoo mein hai shabbir ki jabeen

abbas o qasim o ali akbar bhi ab nahi

karti hai bain saath mere fatema yehi

aansu agar bahaun to beh jaaye ye zameen

sadiyon se ek raat bhi...


mehsoos kar raha hoo bahattar ke zakhm ko

logon mere bhi karb pe marham koi rakho

pursa na sirf saare shaheedon ka mujhko do

bazaar e shaam ki bhi zara taaziyat karo

sadiyon se ek raat bhi...


tapti zameen pe hurr e dilawar ki laash hai

saahil pe ab bhi saani e hyder ki laash hai

ye kapkapati qasim e muztar ki laash hai

asghar ki laash ye hai wo akbar ki laash hai

sadiyon se ek raat bhi...


maalik mujhe yazeed se izne jidaal de

abid ke dil se shaam ka manzar nikaal de

zehra ke zakhm zakhm ka ab indemaal de

asghar ko ab rabab ke jhoole mein daal de

sadiyon se ek raat bhi...


apno ka haal dekh ke phat'ta hai ye jigar

quran saja ke rakhe hai har ek taaq par

saydaniya jo phirti hai majlis mein nange sar

girya bahot karta hoo aamaal dekh kar

sadiyon se ek raat bhi...


nashe mein hirs o jehl ke tum log choor ho

kirdar aur amal mein bahot be-shaoor ho

mai tum se to qareeb hoo tum mujhse door ho

tayyar tum nahi ho to kaise zahoor ho

sadiyon se ek raat bhi...


raasit usool deen ke har ek pal karo

logon furu e deen pe poora amal karo

hirs o hawaas e nafs se jang o jadal karo

mai chaahta zahoor hoo mushkil ko hal karo

sadiyon se ek raat bhi...