Kanz e Aza

Mai Raahe Shaam se

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mazhar. Lyrics in Roman Urdu.

mai raah-e-shaam se guzri hoo berida baba

aseere zulm hoo roti hoo berida baba


tha be-kafan tera islam mai rida dekar

bala ke dasht se aayi hoo berida baba

mai raah-e-shaam se…


sitamgaron ne jagaya hai taaziyano se

jo thak ke raah mein soti hoo berida baba

mai raah-e-shaam se…


adoo jo durre lagate hai mere abid ko

mai dil ko thaam ke roti hoo berida baba

mai raah-e-shaam se…


lahoo bahaata hai ankhon se abid-e-muztar

mai jab bhi kanton pe chalti hoo berida baba

mai raah-e-shaam se…


safar ki khaakh ne baalon ka karliya parda

mai iske baad bhi phirti hoo berida baba

mai raah-e-shaam se…


bichadne waalon ke matam mein raat din guzre

har ek naam pe tadpi hoo berida baba

mai raah-e-shaam se…


meri aseeri pe mazhar ne jo likha nauha

har ek lafz pe tadpi hoo berida baba

mai raah-e-shaam se…