haye shaam bazaar e shaam
baam o dar pe tha charaghan bheed khaas o aam ki
bheed thi karbobal mein fathe fauje shaam ki
aage aage sar shaheedon ke thay naizon pe rawan
chal rahi thi peeche peeche sar jhukaye bibiyan
ek sar naize pe hai ek gardan e rahwaar mein
bhaiyon ke saath zainab aayi hai bazaar mein
shimr tere haath toote ay shaqi ye kya kiya
jam gaya hai khoon sakina ke lab o ruqsar mein
ek sar naize pe hai...
sar khule dekha na tha aangan mein jis ko baap ne
sar khule laayi gayi wo shaam ke bazaar mein
ek sar naize pe hai...
sar ali asghar ka maa ke saamne kaata gaya
kitni be-rehmi thi haye hurmala ke waar mein
ek sar naize pe hai...
ya ali mushkil kusha ye waqt hai imdad ka
ya ali beti khadi hai majma e aghyaar mein
ek sar naize pe hai...
zindagi bhar khoon rulayega ye gham sajjad ko
sun rahi hai sar khule zainab azan darbar mein
ek sar naize pe hai...
maarta hai shaahe deen ke khushk honton par chadi
haakim e gustakh bughz e hyder e karrar mein
ek sar naize pe hai...
laasha na qaimon mein aaya is liye abbas ka
hasrat e mashk e bureeda thi dil e khuddar mein
ek sar naize pe hai...
jis pe mazhar roye hai maula lahoo chalees saal
us musibat ka bayan mumkin nahi ash'aar mein
ek sar naize pe hai...