Kanz e Aza

Faryade Zindane

A noha for Darbaar e Shaam, written by Noor Ali. Lyrics in Roman Urdu.

faryad e zindan e shaam

mai hoon zindan e shaam


maine dekhe hazaar ha qaidi

aise qaidi magar nahi dekhe


khoon mein doobe badan to dekhe hai

is qadar khoon mein tar nahi dekhe


maine dekhe hai jitne qaidi bhi

unki aankhon se ashk jaari thay

unke jismon pe zakhm kaari thay

unpe lamhe alam ke bhaari thay

jinka rona mujhe rulaata ho

maine yun nauhagar nahi dekhe

maine dekhe...


ek qaidi to in mein aisa hai

tauq jiske galay mein bhaari hai

khaafile ka yehi muhaari hai

jiski aankhon se khoon jaari hai

sabr ke jo hunar hai paas iske

maine aise hunar nahi dekhe

maine dekhe...


shaam rote sahar ko rote hai

bekasi ke safar ko rote hai

thaam kar ye jigar ko rote hai

yaad kar kar ke ghar ko rote hai

aisa lagta hai in ghareebon ne

ek muddat se ghar nahi dekhe

maine dekhe...


aise qaidi ke jin ke aane par

qaid khane sajaye jaate hai

khud rulaate hai aur rone par

taziyane lagaye jaate hai

qaidiyon par sitam to dekhe hai

par sitam is qadar nahi dekhe

maine dekhe...


inke rone se aisa lagta hai

jaise ye do jahan rote hai

jab bhi karte hai ro ke ye naale

sab zameen asmaan rote hai

maine naale kisi bhi qaidi ke

is qadar pur asar nahi dekhe

maine dekhe...


khud mein hi qaid ho raha hoon mai

dekh kar in ko ro raha hoon mai

kya bataun ye dard kaisa hai

jis ko dil mein samo raha hoon mai

maine mazloom to kayi dekhe

aise mazloom par nahi dekhe

maine dekhe...


is museebat pe shukr ke sajde

itni ghurbat pe shukr ke sajde

ambiya bhi na kar sake honge

aisi haalat pe shukr ke sajde

jin ke sar par ho naaz sajde ko

maine to aise sar nahi dekhe

maine dekhe...


aisi qaamat hai inki noor ali

deen ki qaamat e daraaz hai ye

hai namazi ke khud namaz hai ye

dono aalam ke charasaaz hai ye

qaid mein qaidiyon ko dekha hai

qaid mein chaaragar nahi dekhe

maine dekhe...