Kanz e Aza

Gawahiyan

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Noor Ali. Lyrics in Roman Urdu.

aayega jab wo waarise qurane karbala

ek hashr hoga bar sare maidan e karbala

aayenge uthke saare shaheedane karbala

hogi sada ke laao gawahane karbala

goonjegi jab sada ye imame zaman ki

dene gawahi aayegi har shay jahan ki

gawahiyan gawahiyan


gawahe ghurbate shabbir hoga saara jahan

karengi zulmatein ro ro ke zulmaton ko bayan

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...


falak ke saath faza bhi gawahiyan degi

ghamon ki garm hawa bhi gawahiyan degi

zameen e karbobala bhi gawahiyan degi

bahegi khaak ke zarro se mere khoon ta rawan

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...


kahegi sahibe wal-asr se ye roke furaat

nabi ke laal pe thi tang karbala mein hayaat

mai khud bhi pyasi thi tashna-dahan hussain ke saath

agar hussain bulaate to khud mai jaati wahan

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...


gawahi zulm ki yun dega hurmala ka teer

tadap ke rehgaya sarwar ke haath par baysheer

ye imtehan tha mera na thi meri taqseer

chala tha mai jo kaman se to ro padi thi kaman

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...


sina batayegi aaye thay laash par sarwar

tadap ke aediyan malta tha khaak par akbar

bayan ho kaise sina khenchne ka wo manzar

zaeef hogaye sarwar uthaai laashe jawan

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...


kahenge mehdi e daura se teer aur bhaale

hum hi thay zeen se sheh ko utaarne waale

wo tashnagi thi ke sheh ki ragon mein thay chaale

har ek zakhm ke andar bhi zakhm ka tha nishan

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...


gawahi dene jab aayengi zainabe muztar

kahengi saahibe wal asr se ye ro ro kar

athara zarbe gini maine sheh ki gardan par

har ek zarb ka ab tak hai mere dil pe nishan

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...


gawah honge shaheedane karbala saare

gawah honge nabi aur ambiya saare

karenge ghurbate shabbir par buka saare

har ek taraf nazar aayega hashr hi ka samaa

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...


gawah banke shaheedane gham bhi aayenge

ghame hussain mein aankhon se khoon bahayenge

janabe mehdi e daura ko ye batayenege

lutayi hum ne bhi maula ghame hussain mein jaan

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...


udegi khaak jab aayegi sayyeda zehra

kahengi kaun hai mujhsa gawah ay beta

ke meri godh mein kaata gaya tha khushk gala

mere hussain ke jaisa ghareeb hoga kahan

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...


gawahi noor ali denge abid e bemaar

ay muntaqim zara sambhli jo meri haalate zaar

sina ki nauk pe dekha sare shahe abraar

jale qayaam se us waqt uth raha tha dhuan

gawahe ghurbate shabbir...

gawahiyan...