ghazi e bawafa chin rahi hai rida
nehr se laut aa chin rahi hai rida
maal o asbaab sab loot'te hai layeen
jalte qayyam mein ghus rahe hai layeen
hashr hai ek bapa chin rahi hai rida
ghazi e bawafa…
jaan se saydaniyan ab guzar jayengi
maut se pehle hi saari mar jayengi
hai ye waqte qaza chin rahi hai rida
ghazi e bawafa…
is se pehle ke sar ran mein ho berida
saari saydaniyan kar rahi hai dua
maut de ay khuda chin rahi hai rida
ghazi e bawafa…
tere baazu kate sabr maine kiya
sab sahare chine sabr maine kiya
ab nahi hausla chin rahi hai rida
ghazi e bawafa…
har taraf ab yahan aag hi aag hai
jaaun aakhir kahan aag hi aag hai
zulm is par siwa chin rahi hai rida
ghazi e bawafa…
be-ridayi ka gham bhai kaise sahoon
tu hi aa kar bata mai sada kis ko doon
sun behan ki buka chin rahi hai rida
ghazi e bawafa…
mujhse kehte thay ye mere baba ali
hogi tu berida ay meri laadli
waqt wo aagaya chin rahi hai rida
ghazi e bawafa…
main teri aas par aayi thi karbala
tere hote huwe kyun chinegi rida
qatl tu ho gaya chin rahi hai rida
ghazi e bawafa…
noor har laash se khoon ubalne laga
laasha e bawafa bhi tadapne laga
jab ye goonji sada chin rahi hai rida
ghazi e bawafa…