Kanz e Aza

Ghazi ke Alam Ko

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

sadiyon se utha rakha hai ghazi ke alam ko

baatil na jhuka sakta alam ko hai na hum ko


marna ho jisay haq pe alam par wo rakhe haath

ho khauf jise jaan ka badaye na qadam ko

sadiyon se utha rakha…


hai matame shabbir ka bharpoor yehi haq

dhaata chala aaya hai har ek qasre sitam ko

sadiyon se utha rakha…


biqre hue quran ke auraaq pade hai

ay karbobala tuhpe kahan rakhun qadam ko

sadiyon se utha rakha…


sar kaat ke shabbir ka qaimon ko jala kar

beparda musalman ne kiya ahle haram ko

sadiyon se utha rakha…


ay zaayir e shabbir idhar aa idhar aaja

aankhon se laga loo mai tere naqshe qadam ko

sadiyon se utha rakha…