pardes mein hussain ki basti ujad gayi
ghazi tere baad qayamat guzar gayi
darya se jab na lauta sadaat ka sahara
aulaad e fatema ne phir chain hi na paaya
zahra ki kaynaat hi ban mein bikhar gayi
ghazi tere baad qayamat...
teri laadli sakina sadme utha rahi hai
jab se gaya hai ghazi us ko bula rahi hai
soti nahi hai chain se itna wo darr gayi
ghazi tere baad qayamat...
abbas jab talak tha sheh ko na koi gham tha
mehfooz thi ridayein jab zaamin e haram tha
wo kya shaheed ho gaya har aas mar gayi
ghazi tere baad qayamat...
zainab ne baad tere kya kya sitam uthaye
dil ke wo zakhm saare kis ko bhala dikhaye
honton pe tera naam tha zainab jidhar gayi
ghazi tere baad qayamat...
hasnain ka tha baazu kunbe ki jaan tha wo
shehzadiyon ke sar pe ek sayeban tha wo
sab ko judaai ye teri be-aas kar gayi
ghazi tere baad qayamat...