aa mere ghazi
mai ho gayi beparda
bazaar aa gaya ghazi tu laut aa
sar par nahi rida ghazi tu laut aa
baalon se moo chupaye
chalti hoon sar jhukaye
majma ye shaamiyon ka
mujhko na dekh paaye
de mujhko hausla
ghazi tu laut aa
bazaar aa gaya...
sab has rahe hai koi
aata nahi bachane
bemaar har qadam par
khaata hai taaziyane
sajjad ko bacha
ghazi tu laut aa
bazaar aa gaya...
har ghar se garm pani
phaynka gaya hai hum par
kaante biche huwe hai
bhai qadam qadam par
mushkil hai raasta
ghazi tu laut aa
bazaar aa gaya...
badla liya hai sab ne
ghar se nikal nikal kar
zainab ko shaamiyon ne
maare hai itne patthar
sar zakhmi ho gaya
ghazi tu laut aa
bazaar aa gaya...
baalon se jab pakad kar
shimr e layeen ne maara
kehti rahi sakina
sar dekh kar tumhara
mar jaaungi chacha
ghazi tu laut aa
bazaar aa gaya...
panjon pe chal rahi hai
kab se meri sakina
baazu mere bandhe hai
dam ghut raha hai uska
rassi mein hai gala
ghazi tu laut aa
bazaar aa gaya...
amma ki tarha mujhko
ye gham bhi hai uthana
mujhko bhi mere bhai
darbar mein hai jaana
zehra ka waasta
ghazi tu laut aa
bazaar aa gaya...
zeeshan kaise likhe
farhan gham ka manzar
ghairat ke baadshah ka
naize se gir gaya sar
zainab ne jab kaha
ghazi tu laut aa
bazaar aa gaya...