qadam jis waqt maine karbala ki khaak par rakha
tha manzar saamne do bhaiyon ki badshaahat ka
mai jab baabul hawaij ke haram ke saamne pahuncha
utha kar haath ro ro kar kaha maine salaam aaqa
bohat toota hua hoon paas ab mujh ko bula lijiye
lipat jaaun mai bachon ki tarha rauze ki jaali se
ziyarat ki tamanna mein haram tak aagaya hoon mai
ijazat dijiye darbar mein rakhun qadam maula
mere dil mein ziyarat ki tadap jis dam badi hadh se
kareem e karbala se ye kaha tha maine ro ro ke
mere saahib mere aaqa kahe ye chote hazrat se
mujhe zaair bana dijiye dikha dijiye haram maula
ziyarat ki tamanna mein...
khabar jab se hui mujhko bulawa aagaya mera
chala ghar se yahan pahuncha na neend aayi na chain aaya
ajab hai kaifiyat dil ki yaqeen aata nahi mujhko
nazar gumbad ki jaanib hai meri aankhein hai nam maula
ziyarat ki tamanna mein...
koi muslim koi hindu koi sikh koi eesaai
tere darbaar mein koi nahi tafreeq mazhab ki
haram ke saamne aakar adab se sar jhukate hai
hai sab ki aankh mein aansoo hai sab ke dil mein gham maula
ziyarat ki tamanna mein...
yahan apne liye maula kahan kuch maangta hoon mai
lipat kar aap ki turbat se rona chaahta hoon mai
suna hai aap ki turbat ali asghar ke jaisi hai
na jaane aap par kya kya huwe zulm o sitam maula
ziyarat ki tamanna mein...
dar e ummul baneen ke paas jaa kar baith jaaunga
suna kar aap ka nauha wahan aansu bahaunga
gire jab aap ghode se nahi thay aap ke baazu
raha is baat ka bas aap ki maadar ko gham maula
ziyarat ki tamanna mein...
yahan se jaaunga maula bade maula ke rauze par
badi ghurbat mein maara hai jinhe nau laakh ne mil kar
judaai aap ki seh kar kamar kham ho gayi haye
jinhe akbar ki furqat mein nazar aata tha kam maula
ziyarat ki tamanna mein...
kaleje mein sina khaye tadapta tha jahan akbar
wahan par yaad aayega mujhe ghurbat ka wo manzar
ali akbar ye kehte thay na barchi khaynchiye baba
pidar ke godh mein nikla jawan bete ka dam maula
ziyarat ki tamanna mein...
jahan khanjar se zaalim ne gala shabbir ka kaata
wahan sattar qadam ka faasla bhai behen mein tha
behen ne us ghadi kitna pukaara aap ko haye
tadapti reh gayi zainab hua jab sar qalam maula
ziyarat ki tamanna mein...
kaha zeeshan ne haye raza wo pal rulayenge
ay mere bawafa maula ye din jab beet jayenge
chala jaaunga ghar lekin yahin dil chod jaaunga
mujhe phir se bula lena sakina ki qasam maula
ziyarat ki tamanna mein...