Kanz e Aza

Haram Sarae Hussaini

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Izzat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

haram sara e hussaini ke pasban abbas


wafa ka laakh khusoos e amal kiya abbas

shabihe faatahe khyber rahi nishan abbas

haram sara e hussaini...


wo shamma jisko yazidi bujha nahin sakte

jala gaye hai sare raah e imtehan abbas

haram sara-e-hussaini...


nazar to jaati hai insaan pahunch nahi sakta

fareed e azm o amal ke hai aasman abbas

haram sara-e-hussaini...


ali ka azm hai talwar chalaye fazle hussain

wo inkare taqaddus ke darmian abbas

haram sara-e-hussaini...


ye haath hote hifazat hayaat hote agar

jahan jahan hai shah e deen wahan wahan abbas

haram sara-e-hussaini...


khuda ki raah may tu ne kata ke haathon ko

ajal ki tod ke rakh di kalaiyaan abbas

haram sara-e-hussaini...


idhar ghash aa gaya shayad sakina bibi ko

pukarte hai tumhe shaah e ins o jaan abbas

haram sara-e-hussaini...


usool e tashnalabi ka agar bahadar tha

har ek maut se uthne laga dhuan abbas

haram sara-e-hussaini...


aseer ho ke sab ahle haram shaheedon ke

suni to hongi sakina ki imtihan abbas

haram sara-e-hussaini...