Kanz e Aza

Haye Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Aijaz Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

baazu e shahe karbobala hazrate abbas

saqqa e haram sher e wigha hazrate abbas

abbas abbas haye abbas haye abbas


shabbir ki ita'at thi faqat unki shariyat

mashoor zamane mein hai maula ki shuja'at

paayi asadullah ki kul tumne virasat

baatil ke liye misle qaza hazrate abbas

abbas abbas...


gar hukm mile karde abhi shaam ko tashkeer

abbas ke kabze mein ali ki jo hai shamsheer

bas muntazir hai izn jo de hazrate shabbir

de wada khilaafi ki saza hazrate abbas

abbas abbas...


shabbir ke lashkar ke alamdar hai abbas

kehta hai alam hyder e karrar hai abbas

baatil ke liye aahini dewaar hai abbas

islam ke parcham ki baqa hazrate abbas

abbas abbas...


farmate thay shabbir ho tum zeenate lashkar

qayam hai tere dam se meri shaukat e lashkar

ek aah ki farmeina ke ye qismat e lashkar

hai kaun jo lashkar mein ruka hazrate abbas

abbas abbas...


paate hi riza maula se lene chale pani

darya ko chala tab asadullah ka jaani

thay nehr pe qabza kiye wo zulm ke baani

kab daud padi fauje jafa hazrate abbas

abbas abbas...


ashoor ko jab maara gaya shaah ka lashkar

aur pyaas se bache nazar aane lage muztar

dekha na gaya ghazi se wo karb ka manzar

sarwar se chale lene riza hazrate abbas

abbas abbas...


mashkeeze mein tab pani ko bharne lage maula

ghode se kaha tu hai kayi roz se pyasa

rehwaar ye bola ke nahi mujhko ye zeba

phir aab ko chullu mein liya hazrate abbas

abbas abbas...


mashkeeza liye qaime ke jaanib chale hazrat

teer aate thay padne lagi talwaron ki zarbat

mashkeeze pe jab teer laga ghut gayi taaqat

shabbir ko dete thay sada hazrate abbas

abbas abbas...


ya rab na kisi bhai ko manzar ye dikhaye

jis tarha kamar pakde wahan shaah thay aaye

abbas se farmate thay mai kya karoo haye

kyun hote ho tum hum se juda hazrate abbas

abbas abbas...


qaime mein hussain aaye liye ghazi ka parcham

qaimo mein haram ke tha bapa ghazi ka matam

thay bain sakina ke labon par yehi payham

kyun sogaye darya pe chacha hazrate abbas

abbas abbas...


ye bain thay zainab ke suno mere dilawar

tanha hai hussain aur udhar laakhon ka lashkar

baad'az shahe deen hoyega barpa yahan mehshar

cheenenge layeen meri rida hazrate abbas

abbas abbas...


aijaz qalam rok lo mehshar ka samaa hai

ghazi ke alam mein ye buka shor o fughan hai

aqif yahan matam mein har ek peer o jawan hai

hai sab ke labon ki ye sada hazrate abbas

abbas abbas...