Kanz e Aza

Kaho ya Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Aijaz Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

hussain deen hai hussain deen panah

bina e la ilaah hussain baadshah

ya hussain ya hussain ya hussain


lut gaya zehra ke dil ka chain

kaho ya hussain

uth gaya hyder ka noor e ain

kaho ya hussain


deen e khuda pe shaah ne ghar ko luta diya

waada kiya jo nana se usko wafa kiya

rote hai iske waaste yun shaah e mashrakain

kaho ya hussain

lut gaya zehra ke...

uth gaya hyder ka...


seh roz ki wo pyaas aur tanha wo dilawar

hairat se dekhte hai unhe saare payambar

har ek nabi ke honton pe hai aaj ya hussain

kaho ya hussain

lut gaya zehra ke...

uth gaya hyder ka...


ran ko sidhaare qasim o akbar se naujawan

haathon pe zibha hogaya hazrat ka bezuban

asghar ke intezar mein bano ko kab hai chain

kaho ya hussain

lut gaya zehra ke...

uth gaya hyder ka...


qaime se sheh ki ruqsate aakhir ho kya bayan

zainab ke rukh pe bikhra hai kya yaas ka dhuan

kehti hai haye lut'ti hai baba ki zeb o zain

kaho ya hussain

lut gaya zehra ke...

uth gaya hyder ka...


sajjad ko utha ke ye shabbir ne kaha

beta hamare baad ho tum deen ke rahnuma

ye sunke bibiyon mein hai kohram o shor o shain

kaho ya hussain

lut gaya zehra ke...

uth gaya hyder ka...


zehra ki godh mein sar e shabbir kat gaya

kat ke buland naiza e khooli pe ho gaya

sar khole ran mein fatema karti rahi ye bain

kaho ya hussain

lut gaya zehra ke...

uth gaya hyder ka...


farsh e aza se paaya hai ahsan ne ye faraz

dekha hassan ne matam e sarwar ka ye aijaz

kehte hai matami se ye khud faatah e hunain

kaho ya hussain

lut gaya zehra ke...

uth gaya hyder ka...