Kanz e Aza

Hasan ke laal ka lasha bikhar gaya ran me

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

wa qasima wawaila wa qasima wawaila

lahu ka maathe pe sehra nikhar gaya ran me


hasan ke laal ka laasha bikhar gaya ran me


hai kubra nazro'n me rote hain tukde chunte huwe

kisi ko dekha nahi dard aise sehte huwe

hussain aate hai maidaan se ye kehte huwe


hasan ke laal ka laasha bikhar gaya ran me


ajeeb dard ke manzar dikhayi dete hain

utha ke laasha-e-qasim hussain rote hai'n

tadap ke akber o abbas se ye kehte hain


hasan ke laal ka laasha bikhar gaya ran me


makaa'n me shaadi ke matam ka shoor uthega

dulhan ke saamne aayega lasha dulha ka

ali ka laal jo sab se kahega kar ke buka


hasan ke laal ka laasha bikhar gaya ran me


har ek gaam pe sarwar ke dil pe hai khanjar

ye nouha jaari hai ibne ali ke hoto'n par

mai apni beti se kaise kahunga ye jakar


hasan ke laal ka laasha bikhar gaya ran me


nazar ke saamne lasha pada hai dilbar ka

khayaal agaya shabbir ko baradar ka

fida bayaan kare kaise dard sarwar ka


hasan ke laal ka laasha bikhar gaya ran me