karbala ek aaftab aur uski tanveerein bahot
karbala karbala ek aaftab
ek kitabe aagahi jiski hai tafseerein bahot
karbala karbala ek aaftab
panjetan ke naksh seene mein saja kar rakh liye
kaatib e taqdeer ne dikhlayi tasveerein bahot
karbala karbala ek aaftab
hai bahattar tan shareek e maqsad e zibhe azeem
ek khaleeli khaab tha jiski hai tabeerein bahot
karbala karbala ek aaftab
fauq e akbar ne azan mein bhar diya kuch aur rang
yun to mehshar tak suni jayengi takbeerein bahot
karbala karbala ek aaftab
nusrate haq mein teri uqba bani hurr e jari
haath mal kar reh gayi dunya ki jageerein bahot
karbala karbala ek aaftab
ruk saka kab raasta sher e khuda ke sher ka
rokne ko laakh thi saahil pa shamsheerein bahot
karbala karbala ek aaftab
bezaban asghar ne pathar dil hila kar rakh diye
sun chuke thay ashqiyan pur soz taqreerein bahot
karbala karbala ek aaftab
goshware khaynch kar ghudka tamache bhi lagaye
jaise thi us phool si bachi ki tafseerein bahot
karbala karbala ek aaftab
bediyan pairon mein aur gardan mein tauq e khaardaar
phir bhi pehnayi gayi abid ko zanjeerein bahot
karbala karbala ek aaftab