Kanz e Aza

Karbala Hogayi Tayaar khuda khair kare

A noha (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Khair Karey


Khuda Khair Karey


Us taraf zulm Pey aamaada zamaaney waaley

Is taraf saarey Mohammad ke gharaaney waaley

Kaun kiska hai tarafdaar khuda Khair Karey


Karbala hogayi tayyaar khuda Khair Karey


Ye qayaamat ke hai aasaar khuda Khair Karey


Karbala hogayi tayyaar khuda Khair Karey


1) Roz e aashoor hawaao'n se barastaa hai lahoo

Lutgayi kiski ye Sardaar khuda Khair Karey

2) ye to Mumkin hi nahi hai ke jhukaadey sarr Ko

Kya Karey saahib e kirdaar


khuda Khair Karey


3) bhai jaatey khuda haafiz o naasir kehkar

Behney kehtii hai ye har Baar khuda Khair Karey

4) wo jo ghodey se giraa saath girey Mashk o alam

Naa Alam hai Naa alamdaar khuda Khair Karey


5) Kitney sadmey hai jo sajjad Ko sehney hai Abhi

Beydiyaa'n Hoti hai tayyaar khuda Khair Karey

6) Aaj bhi seeno'n Mey zindaa hai Husain ibney Ali


Saara aalam hai Azadar khuda Khair Karey


7) Aaney waaley yuhi Aatey rahey rozo'n Pey sadaa

Kamm na ho aapke zawwaar khuda Khair Karey

8) sheh ke maatam Mey hilaal aisi fizaa goonj uthi Kyu ye Larzaa Darr o deewaar


khuda Khair Karey