Kanz e Aza

Karbala Jaane Walon

A noha written by Asif. Lyrics in Roman Urdu.

aafat se ham sab door rahe

zehra ye duayein karti hai

shabbir ko roti rehti hai

aur phasliyan pakde chalti hai

jaa tera safar abaad rahe

humraah tera sajjad rahe

maula mere sabko bulwalo

lab par ye tere faryad rahe

jaa karbobala jaane wale

shabbir ka rauza choom ke aa

aur shaam mein ek to bhai

hamsheer ka rauza choom ke aa


karbala jaane walon

meri arzi ye sheh ko sunana

karbala jaane walon


sheh ki dehleez par sar jo rakhna

kehna aisa bhi aashiq hai tera

tujhse milne ko tadpe hai lekin

usko majbooriyon ne hai ghera

ibne mushkil kusha do bulawa

kardo mumkin wahan uska aana

karbala jaane walon...


jis jagah teer asghar ne khaya

whan ye kehna ke ay shahzade

naam par tere apne watan mein

hai bikhari sabeelein lagate

roz o shab humko tadpaye rakhe

tera tishna hi dunya se jaana

karbala jaane walon...


dar pe ghazi ke ye jaake kehna

door apne watan mein dilawar

gham manate hai abbas tera

tere shayda alam ko saja kar

hum faqeeron ko baabe hawaij

jaldi darbar apne bulana

karbala jaane walon...


jis jagah khayi akbar ne barchi

kehna kuch aise ghamkhar hai jo

maange sehra utha kar duayein

tujh pe hi ye jawani fida ho

muntazir hai gada wo tumhare

unko mehman jaldi banana

karbala jaane walon...


tillaye zainabi pe ye kehna

hai tumhare biradar ki nagri

kaun rokega usko bhala phir

jisko tumne ijazat ho dedi

ay shaheedo ki waris khudaya

jald humko bulawa dilana

karbala jaane walon...


jaaye qayyam mein bibiyon ke

jaake dena hamari salami

bibiyon tum ne de kar ridayein

deen ki aabroo hai bacha li

muztarib hai jo apne watan mein

unse pursa yahan bhi karana

karbala jaane walon...


jaake shohda ke marqad pe kehna

ay mere shaah ke jaanisaron

rad na hogi tumhari sifaarish

tum jo kehdoge ay sheh ke pyaron

jo nahi aa sake mere maula

unko jaldi hi nagri dikhana

karbala jaane walon...


mohsin e deen ke dar se to asif

laut sakta nahi koi khaali

kaise mumkin ho ke apni hasrat

sheh ke darbar mein na ho poori

gar dua ye suna dega zaair

phir yakheeni hai apna bhi jaana

karbala jaane walon...