karbala hogi jo barpa to qayamat hogi
dasht mein aayengi zehra to qayamat hogi
ran mein akbar se tadpte huwe bole sarwar
tere seene mein jo paywast hai mere dilbar
maine khayncha jo ye naiza to qayamat hogi
karbala hogi jo barpa...
sheh ne dekha tha bhatije ki taraf kuch aise
aankhon aankhon mein hi qasim se kaha ho jaise
tu ne taweez jo khola to qayamat hogi
karbala hogi jo barpa...
baareha shaah ne abbas ko roka hoga
aisa lagta hai ye shabbir ne socha hoga
chid gayi mashk e sakina to qayamat hogi
karbala hogi jo barpa...
hurmala ne jo kamaan dashte bala mein khaynchi
bas yehi soch ke bano pe qayamat guzri
teer asghar ne jo khaaya to qayamat hogi
karbala hogi jo barpa...
shimr ko dekh ke zehra ne pukaara zaalim
teen shab roz ka pyasa hai teher ja zaalim
tu ne khanjar jo chalaya to qayamat hogi
karbala hogi jo barpa...
dekh kar fauje yazeedi ko pukari zehra
seena e shaah pe asghar ka hai be sar laasha
tum ne ghodon se jo raundha to qayamat hogi
karbala hogi jo barpa...
bhai ki laash pe royegi behen ye keh kar
kaise mai tujhko kafan doo nahi sar par chadar
waqt jis waqt ye aaya to qayamat hogi
karbala hogi jo barpa...
har azadaar ko majlis mein bata do yasir
sayyeda aayi hhai kuch ashq e aza ki khaatir
koi majlis mein na roya to qayamat hogi
karbala hogi jo barpa...