misle hurr qismat jaga kar dekhna
karbala ek baar jaa kar dekhna
qabr e akbar keh rahi hai doston
naujawani ki shahadat aisi ho
khud ko yun haq par mita kar dekhna
karbala ek baar...
bachpane ka dost wo sheh ka habeeb
rauza e sheh ki hai darbani naseeb
is tarha waada nibha kar dekhna
karbala ek baar...
seena e sheh par hai asghar ka maqaam
haye wo mazloom maa ka laal-faam
dil ke jhoole mein jhula kar dekhna
karbala ek baar...
aansuon ke karwan ko saath lo
qalb ke soze neha ko saath lo
tab dua ko haath utha kar dekhna
karbala ek baar...
karbala tatheer waale ka hai ghar
keena o makr o hasad ko chod kar
khud ko tum taahir bana kar dekhna
karbala ek baar...
haajiyon se kehti hai qabre nabi
chaahte ho tum agar meri khushi
is tarha hajj ko saja kar dekhna
karbala ek baar...
dekhiye abbas e ghazi ka haram
aaj bhi baaqi hai ghazi ka hashm
wo haram nazrein jhuka kar dekhna
karbala ek baar...
aao majid chalke dekhein wo maqam
dard mando ko jo karde shadman
waqt ko taara bana kar dekhna
karbala ek baar...