haram ko leke suye shaam jab badi zainab
kabhi hussain bani aur kabhi ali zainab
wo bekhabar thay ke tareek ho rahi hai raqam
jo keh rahe thay isay teri bebasi zainab
haram ko leke...
khuda ka deen hai zinda hussain ke dam se
hussainiat ko mili tujhse zindagi zianab
haram ko leke...
yazeediyon ne bahot koshishein to ki lekin
kisi se kam na hui teri bartari zainab
haram ko leke...
usay giraana tha khutbon se shaam ka khyber
ali ke lehje mein kyun kar na bolti zainab
haram ko leke...
ali ko jo shab e hijrat khuda ne bechi thi
ali se tu ne wo marzi khareed li zainab
haram ko leke...
huwe na khatm pas e karbala bhi zulm o sitam
gayi hai shaam talak tere tashnagi zainab
haram ko leke...
thay ek rasan may jo baara galay rasan basta
rasan khuli to sakina nahi rahi zainab
haram ko leke...
yehi nahi ke rasan basta haath hai tere
ghazab hua ke rida sar se chin gayi zainab
haram ko leke...
badan sikasta rasan basta majma e aada
azaan may naam e nabi sun ke ro pari zainab
haram ko leke...
kisi ne maanga kaneezi mein jab sakina ko
jigar pakad ke pukaari ali ali zainab
haram ko leke...
rehaai paa ke watan ke liye rawana hui
tadap ke kehti thi abbas ghar chali zainab
haram ko leke...
qalam ki aankh se behta hai khoon ali ansar
wo dastan e haram khoon se likh gayi zainab
haram ko leke...