Kanz e Aza

Haye Zainab Ro Rahi Hai

A noha for Shehzadi Zainab (s.a) (2008). Lyrics in Roman Urdu.

Haye Zainab Ro Rahi Hai


haaye zainab ro rahi hai karbala khamosh hai

jal gaye hai saare khaime, al-qama khamosh hai


haaye zainab ro rahi hai....


chin gayi sar se hai chaadar, kya kare binte ali

us taraf darya kanare ba-wafa khamosh hai


haaye zainab ro rahi hai....


aagayi sham-e-ghareeba, ho gaye qaidi haram

aabile paaon ke rowe raasta khamosh hai


haaye zainab ro rahi hai....


andhera phail gaya bujh gaye charaagh tamaam, shaheed hogaye sipt-e-nabi ke laal-o-bam

ridaaen cheen ne jis waqt fauje shaam badi, labo pe zainab-e-mustar ke tha hussain ka naam

ab kahan zainab ko chain aayega akbar ke baghair

khaake barchi akbar-e-gulbuqaba khamosh hai


haaye zainab ro rahi hai....


kaise guzregi rasan-basta sare maqtal behan

be-kafan bhai hai ran may be-rida khamosh hai


haaye zainab ro rahi hai....


ab koi rota hi nahi ashkon ka darya beh gaya, sirf ronay ke liye zainab hai raah-e-shaam may

taaziyane maarte hai ashkiyan sajjad ko, koi bhi insaan nahi baakhi sipaahe shaam may

ro chuki  zainab bhare ghar ko sar-e-karbobala

karbala se shaam tak saari faza khamosh hai


haaye zainab ro rahi hai....


hai qalam ki nok may aansu ghame shabbir ke

arsh pe rehaan shah-e-ambiya khamosh hai


haaye zainab ro rahi hai....