ye kis ne kaha zinda rahenge to kahenge
hum naame ali le ke marenge to jiyenge
meri sanson mein ali hai nigahon mein ali
meri dhadkan ki sada seene mein har dam boli
hyder e karrar madad ya ali
karbala waalon ne ye baat bhi saabit kar di
ya ali jaane ukhuwat hai wilayat hai teri
ek lashkar mein lade john zuhair aur wahab
faisla ho gaya ye jang nahi mazhab ki
ya hussaini hai koi ya yazeedi hai koi
aao phir mil ke sada dete hai shia sunni
hyder e karrar madad...
jang ke baad phir ek jang ki tayyari hai
asl mein karbobala aaj talak jaari hai
ek sayyed ki shahadat ne bataya sab ko
ek ghulam aaj bhi laakhon ke liye bhari hai
maut se kya darna ek din hai marna
wird ye jaari rahe chaahe ho gardan pe churi
hyder e karrar madad...
salaam ya ali madad
salaam ay shaheedon as-salaam
khoon se apni shama deen ki jalayi tum ne
asl islam ki tasveer dikhai tum ne
kar diya waqt ke firaun ko tum ne ruswa
aur ali waalon ki izzat hai badhai tum ne
haq ada tum ne kiya nara e hyder ka
de di haq ke liye ye kehte huwe jaan apni
hyder e karrar madad...
tu ne poochi hai imamat ki haqeeqat mujhse
haq tujhe meri tarha saahib e asraar kare
hai wohi tere zamane ka imam e barhaq
jo tujhe haazir o maujood se bezaar kare
kya thi khybar ye tumhe yaad dilayega wohi
kaise ladte thay ali lad ke dikhaye ga wohi
uske hamle se na bach payega koi marhab
zulfiqar ab bhi hai khoon khaar batayega wohi
fatema zahra ka hai jalasli beta
mehdi ye kehte huwe todega tu dushman ki nali
hyder e karrar madad...
ek lamhe ke liye aankhein karo band apni
mai dikhata hoon tumhe kaisi thi iksat hijri
wo mohamed ka nawasa tha hussain ibne ali
jis ne sar de diya zaalim ki nahi bayyat ki
bhai bhi maara gaya dafn asghar ko kiya
laash ye keh ke uthayi thi jawan bete ki
hyder e karrar madad...
waada nana se kiya tha jo nibhaya usne
apna sab waar diya deen bachaya usne
qatl jab ho gaye maidan mein saare nasir
hausla dene lagi karbobala ki naashir
bhai se kehne lagi saath abhi hai zainab
kya hua bhai agar qatl huwe pyare sab
aaj abbas nahi koi bhi paas nahi
jab sawar aa ke kiya bhai ko zainab boli
hyder e karrar madad...
khanqahon se nikal aao imamat ke liye
aane waala hai alamdar qayamat ke liye
naam par jiske jkhukate ho ziyarat mein sar
taqt tayyar hai ab us ki nizamat ke liye
socho darvesh e aza aur zeeshan zara
waqt kya hoga wo jab kehke ladega mehdi
hyder e karrar madad...