mere sayyed maula sayeen
babul hawaij maula hamare
ay saqi abbas
mere dar pe alam hai tera
mai tera hoo tu mera
bas ek dua karta hai
maula har aashiq tera
mere ghar may aaye ek baar
hamare maula ghazi sarkar...
hum log julooson may ghazi
tera alam utha kar chalte hai
abbas abhi tak zinda hai
ye dekh ke dushman jalte hai
haye nasli aur asli alam bardaar
hamare maula ghazi sarkar...
ye baab e ata ka maalik hai
dunya waalon na ghabrao
tum waasta le kar zainab ka
abbas ke dar par aa jao
nahi karte kabhi inkaar
hamare maula ghazi sarkar...
mashkeeza le kar aane par
maidan may khauf ka aalam tha
wallah mai aksar sochta hoo
nau laakh ka jaane hota
le jaate agar talwaar
hamare maula ghazi sarkar...
akbar ko funoon e harb sabhi
tu ne hi sikhaye hai maula
ustad hai zainab zaadon ka
shagird hai qasim bhi tera
hashim ke sipaah saalaar
hamare maula ghazi sarkar...
bainul harmain may jaa kar ye
har zaair ko kehte dekha
kya manzar hai subhanallah
shabbir ke rauze ke jaisa
lagta hai tera darbaar
hamare maula ghazi sarkar...
wo baabe hawaij ka dar hai
jahan bichde huwe mil jaate hai
is baar kahenge hum jaa kar
maa baap bahot yaad aate hai
milwado hamay ek baar
hamare maula ghazi sarkar...
ay zeeshan o irfan e aza
jab maahe moharram aata hai
ye soch ke roz e ashoora
har matami khoon bahata hai
galay mil ke karenge pyar
hamare maula ghazi sarkar...