har gali abbas ki hai har nagar abbas ka
dushman e deen ko laga rehta hai darr abbas ka
hazarte abbas maula hazarte abbas
jab imam e waqt layenge alam abbas ka
aqs aayega zamane ko nazar abbas ka
hazarte abbas maula hazarte abbas
har gali abbas ki hai...
rakh diya itni bulandi par wafa ke naam ko
bewafayi aaj bhi rakhti hai darr abbas ka
hazarte abbas maula hazarte abbas
har gali abbas ki hai...
karbala ki jang ka naksha badal jaata zaroor
dekhti fauj e yazeedi ghaiz agar abbas ka
hazarte abbas maula hazarte abbas
har gali abbas ki hai...
ek nazar pe ruk gaya nau laakh ka lashkar jahan
ashkiyan pe rob tha kuch is qadar abbas ka
hazarte abbas maula hazarte abbas
har gali abbas ki hai...
na hui himmat kabhi dushman ki aaye karbala
hai khat e abbas mein ab bhi asar abbas ka
hazarte abbas maula hazarte abbas
har gali abbas ki hai...
sindh ki dharti pe saaya kar raha hai aaj bhi
tumko aayega alam ghar ghar nazar abbas ka
hazarte abbas maula hazarte abbas
har gali abbas ki hai...
gar karo waada kisi se usko poora bhi karo
chaahne waalon mein bhi to ho asar abbas ka
hazarte abbas maula hazarte abbas
har gali abbas ki hai...
keh do mujhko bhai bas ek baar ay bhai mere
bole sarwar godh mein le kar ye sar abbas ka
hazarte abbas maula hazarte abbas
har gali abbas ki hai...
hai amood o shadman ki ye dua abbas se
in pe ho nazr e karam shaam o sahar abbas ka
hazarte abbas maula hazarte abbas
har gali abbas ki hai...