Kanz e Aza

Haqdar Mujahid

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

haq daar mujahid ay abbas


saqqa e haram mashkeeza liye jald aaiye darya se

pani ke liye bechain yahan bacche hai khade pyase

aa dekhle pyasa hai mujahid ay abbas

haq daar mujahid ay abbas...


haibat se teri bhaage hai layeen abbas darya se

aada se taraayi cheen liye do roz ke pyase

aa dekhle tareekh hai shahid ay abbas

haq daar mujahid ay abbas...


parde ke muhafiz aa bhi jaa ye kaisi neend aayi

bewon ki ridayein lene ko hai fauje yazeed aayi

aa koi nahi behosh hai abid ay abbas

haq daar mujahid ay abbas...


ay sher e dilawar aa bhi jaa zainab ki himayat ko

hai raat bhayanak nikli hai qaimon ki hifazat ko

aa dekhle islam ki qayad ay abbas

haq daar mujahid ay abbas...


farzande nabi hota hai zibha abbas sajde mein

tanha hai shahe deen koi nahi juz yaas sajde mein

aa aakhri sajde mein hai saajid ay abbas

haq daar mujahid ay abbas...