Kanz e Aza

Har Dam Hussain

A noha written by Haider Khursheed. Lyrics in Roman Urdu.

har dam hussain tera gham hussain

hai yehi dua har momin ki

rahe aankh hamari nam hussain


tasveer e payambar kai gham mein

ye saara aalam rota hai

ghar ghar mein majlis jaari hai

ghar ghar mein matam hota hai

zanjeer se matam akbar ka

ta hashr karenge hum hussain

har dam hussain...


khoon hyder ka hai asghar mein

is baat ko hurmal bhool gaya

tha teer e sitam halqoom pe jo

naize pe jhoola jhool gaya

hai kar gaya saare aalam ki

har aankh ko wo purnam hussain

har dam hussain...


masoom jawani qasim ki

ab chain se khaak pe soti hai

kar kar ke yaad samandar ko

karbal ki zameen bhi roti hai

jis tarha hua tukde tukde

maqtal mein tera qasim hussain

har dam hussain...


le pursa us masooma ka

kaano se jis ke khoon baha

jo dafn hui zanjeeron mein

jala kurta jis ko kafan mila

takraati thi jo sar zindan se

ro kehti thi har dam hussain

har dam hussain...


na sar ko jhukane paaye layeen

chaaha tha jhukana jis sar ko

khud apne saron se bhi ooncha

pada unko uthana jis sar ko

goh kat gaya tera sar lekin

phir bhi na hua ye kham hussain

har dam hussain...


har dam karo sunnat hai matam

hai karte rahe ye khud khaatam

na rokne se ruk payega

badta hi rahega ye matam

zainab ki dua hai ye matam

hoga na kabhi ye kam hussain

har dam hussain...


ujda hai paak mohamed ka

ban mein hasta basta gulshan

karti hai matam zainab ka

khursheed ke dil ki har dhadkan

tere akbar qasim asghar ka

har saans mein matam hussain

har dam hussain...