Kanz e Aza

Hum Azadaar Hai

A noha written by Haider Khursheed. Lyrics in Roman Urdu.

labbaik ya hussain labbaik ya hussain


hum azadar hai hum azadar hai

shaah e mazloom ke hum azadar hai


ki hamare liye aap zahra dua

hum hai sab se alag hum hai sab se juda

haathon mein apne hai alam e shaah e wafa

darsgaah hai hamari to bas karbala

jisne kalmaye quran hum ko diya

us nabi ke nawase ke ghamkhwar hai

hum azadar hai...


ye khuda ki khudayi ke hai raazdan

bane pajetan ke sadqe dono jahan

he nabi ki zaban hi khuda ki zaban

taabe inke amar ke hai kon o makan

dastaras mein inhi ke hai loh o qalam

ba-khuda ye hi jannat ke sardar hai

hum azadar hai...


aao haq e mawadat ada hum kare

ali asghar ka akbar ka matam kare

mil ke qasim ka abbas ka gham kare

yaad mein apni aankhon ko purnam kare

saani e zehra ke thay jo paale huwe

sar kiye jin ke naizon pe akhwaar hai

hum azadar hai...


allah jaane wo kaise musalman thay

kalma go thay magar na pasheman thay

qatl unko kiya hai jo mehman thay

ban gaye jaan kar bhi jo anjaan thay

rona khursheed hai sirf is baat ka

laaye aale nabi ko wo bazaar hai

hum azadar hai...