Kanz e Aza

Kahan Ho Tum

A noha written by Haider Khursheed. Lyrics in Roman Urdu.

kahan ho tum mere ghazi zara chale aana

mai qaid ho ke chali aur watan hai begana


banaye parda mera kaun ab siwa tere

na sar pe saaya tera na rahi rida mere

rida tu ban ke mere sar pe ghazi chaa jaana

kahan ho tum...


jo ghar se nikli na waakif na thi bazaron ki

hai har soo bikhri hui laashe thi pyaron ki

usay pehen ke hai zanjeer shaam ko jaana

kahan ho tum...


aa dekh haath bandhe mere hai pasay gardan

hai pehne baqir o sajjad dekh tauq o rasan

chali hoo aun o mohamed ka de ke nazrana

kahan ho tum...


tamache maar ke zaalim mujhe rulaate hai

teri sakina ke kaano se khoon bahaate hai

lagi hai aag jo daaman pe wo bujha jaana

kahan ho tum...


misaal ban gayi dunya may aaj teri wafa

zamana rota hai kar kar ke yaad teri wafa

har ek lab pe alamdar tera afsana

kahan ho tum...