Kanz e Aza

Meri Maa ne Mujhe

A noha written by Haider Khursheed. Lyrics in Roman Urdu.

meri maa ne mujhe godh may ye wird sikhaya

kaha ya hussain ya hussain ya hussain


allah ne hai mujhko nauhakhwan banaya

kaha haye hussain sab ne mil ke kaha

haye hussain haye hussain haye hussain

meri maa ne mujhe...


paida kare momin jo badi unki shaan hai

wo khush naseeb maayein hai mera emaan hai

bachon ko hai jinho ne sach ka sabaq padhaya

kaha haye hussain sab ne mil ke kaha

haye hussain haye hussain haye hussain

meri maa ne mujhe...


quran ke waarison ka hua band hai pani

pamaal hui ran may hai qasim ki jawani

jab hum ne suna hai gaya qaimon ko jalaya

kaha haye hussain sab ne mil ke kaha

haye hussain haye hussain haye hussain

meri maa ne mujhe...


mazloom pe rona hai rada kehta hai quran

sunnat adaa karo ye agar tum ho musalman

zinda hussain ka hai nabi sog manaya

kaha haye hussain sab ne mil ke kaha

haye hussain haye hussain haye hussain

meri maa ne mujhe...


ya rab koi masooma se aaghaz e safar hai

is zikr ke sadqe may sayyeda ki nazar hai

hai paak sakina ne mera bakht jagaya

kaha haye hussain sab ne mil ke kaha

haye hussain haye hussain haye hussain

meri maa ne mujhe...


khursheed azadaron may kohraam bapa hai

har soo buland hogayi matam ki sada hai

sadiq hasan ne nauhon may hai sab ko rulaya

kaha haye hussain sab ne mil ke kaha

haye hussain haye hussain haye hussain

meri maa ne mujhe...