ho salaam ya imam ya imam ho salaam
matam karo hussainiyo sab musa raza ka
ummat ne jis imam ko diya zehr jafa ka
matam hamare paas hai zainab ki amanat
zahra hi iska dengi sila roz e qayamat
ye hukm bakhuda hai mahboob e khuda ka
matam karo hussainiyo...
meelon ka safar kar ke behan milne jo aayi
bhai ki shakl haye kahin dekh na paayi
dam tod gayi jab suna bhai ki qaza ka
matam karo hussainiyo...
kis jurm mein tukde huwe musa ke jigar ke
kis se kare sawaal koi to jawab de
doge jawab aayega jab roz jaza ka
matam karo hussainiyo...
karbal kabhi kufa mein jaane kahan kahan
ummat ne qatl kar diye thay jo deen ke paasban
kiya zaalimon ne haye na kuch khauf khuda ka
matam karo hussainiyo...
mujhsa hai bhala kaun muqaddar ka sikandar
mujhko banaya aal ka khursheed nauhagar
kis tarha karun shukr mai panjetan ki ataa ka
matam karo hussainiyo...