Hum Hai Hussain Waale, Hum Hai Hussain Waale
Is gham ke waste hi apna wajood hai
Hum Hai Hussain Waale, Hum Hai Hussain Waale
1. Pyaason ki yaad me hi paani pilaate hai
Karbobala ka waaqeya sabko sunaate hai
Hum hai hussain waale tumhein ye bataate hai
Seenon ko hum lahu ka samandar banaate hai
2. Farwa ka tha bayaan mera qasim nahi raha
Laila ye roke kehti thi akbar nahi raha
Bano ki god me ali asghar nahi raha
Aabaad ghar ujadh gaya, koi nahi raha
3. Pusht e nabi pe dekhiye jaan e namaz hai
Ishq e ali ke waste qayam namaz hai
Waise hi tum ada karo jaisi namaz hai
Aage hussain hai mera peeche namaz hai
4. Deen e nabi ke waste sarwar ne sar diye
Zainab ne dono laal ko qurbaan kardiye
Abbas ne furaat pe do baazu de diye
Waada tha ek sar ka bahattar ne sar diye
5. Zahra ki hai tamanna karo gham hussain ka
Majlis hussain ki hai ye maatam hussain ka
Mehshar me kaam aayega maatam hussain ka
Ye Murtuza sunaatha hai nouha hussain ka
Hum hai hussain waale, Hum hai hussain waale
Kalaam : Janaab Murtuza Ali Sahab