1. Hyder Asws. Ke Matamdaro'n Mein Hyder Asws. Ka Janaza Uth-ta Hai.
pehlu Ko Sambhale Roti Hui Purse Ko Aayi Zehra S.a. Hai.
2. Sajde Mein Ibne Muljim L.a. Ne Talwaar Chalayi Dhoke Se.
do Neem Hua Sar Hyder Asws. Ka, Fawwara Qoon Ka Behta Hai.
3. Meesam As., Salma'n A.s., Meqdaad A.s., Kumail A.s, Malik A.s., Ammar A.s., Abuzar A.s. Bhi.
daale Hue Sar Par Qaake Aza, Har Ek Sahabi Rota Hai.
4. Tha Waqte Naz'aa Moula Ka Mere, Saasa R.a., Ne Kiye Us Waqt Sawaal.
is Karb Ke Aalam Mein Bhi Ali Asws., Paigham E Quda Jjh. Pohonchata Hai.
5. Shabbar Asws. Ke Hawale Sabko Kiya, Rote Hai Tadapkar Shahe Wafa Asws.
abbas Asws. Se Bole Shere Quda Asws., Shabbir Asws. Tumhara Aaqa Hai.
6. Jaate Hue Hyder Asws. Kufe Ke Logo Se Wasiyat Karte Hai.
zainab Asws. Ko Meri Tum Yaad Rakho Phir Lout Ke Isko Aana Hai.
7. Qatil L.a. Ko Sheer Diya Tumne, Aur Bande Rasan Bhi Khulwaye.
zainab S.a. Ke Bazu Sheh Ka Gala, Kya Yaad Ali Asws. Ko Aaya Hai.
8. Do Baar Janaza Ut-ttha Hai, Hyder Asws. Ka Shehr E Koofa Mein.
hai Karbobala Mein Lashe Pidar, Zanjeer Mein Jakda Beta Hai.
9. Koozo'n Mein Doodh Liye Bache, Moula Ki Ayaadat Ko Aaye.
par Dashte Bala Mein Sheer Kaha'n Pani Bhi Waha'n Par Mehenga Hai.
10. Beto'n Se Kehte Hai Moula, Aawaz Na Ghairo'n Tak Pohonche.
kulsoom S.a. Aur Zainab S.a. Ka Rona, Hyder Asws. Ko Bohot Tadpata Hai.
11. Shahzade Ki Yeh Anjuman Moula Ke Matam Ko Aayi.
meyaar Hamara Kya Ho Bayaa'n Zehra S.a. Ne Dua Mein Maanga Hai.