Kanz e Aza

Jab hua farqe mubarak khoon se tar Abbas ka

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Jab hua farqe mubarak khoo'n me tar Abbas(a.s) ka


Hogaya ranj o alam se shaq jigar Abbas(a.s) ka

1. Saath paani ke labe darya baha khoone jar

tukde tukde kardiya zalim ne sar Abbas(a.s) ka


Jab hua farqe mubarak khoo'n me tar Abbas(a.s) ka


2. kehti thi baali Sakina(s.a) phir na zindaa'n ka ho gham

zikr gar sunti rahu'n shaam o sahar Abbas(a.s) ka


Jab hua farqe mubarak khoo'n me tar Abbas(a.s) ka


3. Khoon ki bhi naher ek reti pa jaari hogayi

Ek baazu kat gaya jab naher par Abbas(a.s) ka


Jab hua farqe mubarak khoo'n me tar Abbas(a.s) ka


4. Shah ke rone ki sada sunkar yeh Zainab(s.a) ne kaha

hogaya shaayad zamaane se safar Abbas(a.s) ka


Jab hua farqe mubarak khoo'n me tar Abbas(a.s) ka


5. Ek ba ek Aakar laga mashke sakina(s.a) par jo teer

Saath pani ke baha khoone jigar Abbas(a.s) ka


Jab hua farqe mubarak khoo'n me tar Abbas(a.s) ka


6. Le rahi thi shouq se kar gaam par bose zamee'n

Ho raha tha farqe anwar khoo'n se tar Abbas(a.s) ka


Jab hua farqe mubarak khoo'n me tar Abbas(a.s) ka


Kalaam : Janab Syed Sarfaraz Ali Razvi Sahab Qibla