Kanz e Aza

Hum Azadare Hussain

A noha written by Faheem. Lyrics in Roman Urdu.

hum azadar e hussain ibne ali

hum tafardar e hussain ibne ali

hum wafadar e hussain ibne ali


hum dua e fatema ka hai samar

aur aadaab e aza se ba khabar

jaante hai hum ko sab jinn o bashar

hai hamari sar-parast binte ali

hum azadar e hussain...


saamne jis ke kata bhai ka sar

zibha pyase ho gaye noor e nazar

aur luta jangal mein jis ka ghar

bhai ke laash pe jo ro na saki

hum azadar e hussain...


hum se poocho lazzat e saum o salaat

hum se poocho khadar e khhums o zakaat

hum se poocho kyun ruka hukme jihad

hum tawalla aur tabarra ke dhani

hum azadar e hussain...


ye hamari khadr ye zeb o zain

ashk hamari marhame zakhme hussain

ye aza fatema ke dil ka chain

hum se raazi hai khuda uska nabi

hum azadar e hussain...


haasil e khilqat hamara hai aza

ye buka ye wa hussaina ki sada

hai hamari rooh ki girya ghiza

khoon baha to jism hote hai khavi

hum azadar e hussain...


hum se pooch gham hai kya kya hai khushi

hai jo dil mein ulfate aale nabi

gham hai unka gham khushi unki khushi

bas yehi hai apna tarz e zindagi

hum azadar e hussain...


hai dilon mein hamare karbobala

hum na is se aur na ye hum se juda

kaise hal min ki bhala bhoole sada

goonjti hai al-atash har ghadi

hum azadar e hussain...


hai mehekte seenon pe zakhmon ke baagh

aur dil mein gham ke jalte hai charaagh

hum hai wo jin ko nahi gham se firaaq

bas faheem haan yehi hai bandagi

hum azadar e hussain...