Kanz e Aza

Hal Min Nasir

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Faheem. Lyrics in Roman Urdu.

hal min nasir hal min naser

kaun hai meri madad ko haazir

hal min nasir hal min naser


asr ko goonji jab ye sada

larze sunkar arz o samaa

jaanta jo hai mujhko jaane

jo nahi jaanta wo pehchane

tum par haq ho mera zaahir

kaun hai meri madad ko haazir

hal min naser...


nana mohamed nani khadija

baba ali maa fatema zehra

bhai hassan sardar e jina hai

khabze may mere kaun o makan hai

mera munkir haq ka kaafir

kaun hai meri madad ko haazir

hal min naser...


mai hoo quran mai hoo emaan

munkir mera dushmane yazdan

nafse khuda hoo nafse nabi hoo

jaane nabi hoo mai bhi ali hoo

mai hoo jalaale haq ka mazhar

kaun hai meri madad ko haazir

hal min naser...


subha se tumne dekhe nazare

khoon may doobe chand aur taare

nana nabi ke deen pe waare

jaan se jo thay mujhko pyare

koi raha na humdam o yawar

kaun hai meri madad ko haazir

hal min naser...


laash mere akbar ki padi hai

uspe jawani roti khadi hai

phool sa jism aur naiza aur payka

tumne kiya ghar mera veeran

cheen liya kyun mujhse akbar

kaun hai meri madad ko haazir

hal min naser...


lootli tumne meri kamayi

koi bacha na beta na bhai

hukme khuda se tumse lada hoo

khoon may dooba tanha khada hoo

zakhmi pyasa hoo mai musafir

kaun hai meri madad ko haazir

hal min naser...


tumko koi ehsaas nahi hai

koi bhi mere paas nahi hai

behre madad abbas nahi hai

mujhsa koi be aas nahi hai

gheray hai sab mujhko kaafir

kaun hai meri madad ko haazir

hal min naser...


girta hoo mai koi sambhale

zakhmon se koi teer nikaale

maa ki mere aayi sawaari

sar dene ki hai tayyari

asr ka hai hangaame aakhar

kaun hai meri madad ko haazir

hal min naser...


jiska gharana saara kareem

tanha maalike zibhe azeem

khayam ta zahoore hujjat

hai wo faheem taalibe nusrat

hal min naser hal min naser

kaun hai meri madad ko haazir

hal min naser...