Kanz e Aza

Hamaare hain ya hussain

A noha (2011). Lyrics in Roman Urdu.

Hamaare hain ya hussain


mein karbala me khara hun libaase sog me hun

hai arbaeen hussain aur hussainiyon ka

karoron log hain saare libaase sog me hain

har ek nasl har ek rang har zabaan ke log

nigaahen roza e shabbir ke tawaaf me hain

labon pe haaye hussaina ghareeb haay hussain

khayaal aata hai eksathwi sane hijri ka aur us moharram ka yehi maqaam tha

yehi maqaam tha ek banda e khuda jiska hussain naam tha

hussain naam tha jiska rahe khuda me

hatheli pe sar uthaaye huwe

har ek daur ke insaan ki aabru ke liye

wo apne dil pe bahattar ke zakhm uthaata raha

wo apne jism pe zakhmon pe zakhm khaata raha

qadam barhaata raha qadam barhaata raha

bas ek azm tha insaan surkh ru ho jaaye

bas ek dhun thi ke insaaniyat na mar jaaye

insaaniyat pe hai ehsaan hussain ka

ehsaan hi to hai ehsaan ka sila

har dil me ya hussain har dil me karbala

bedaar kar diya jo zamaana hussain ne

besaakhta tamaam zamaana ye keh utha ke hamaare hain ya hussain


hamaare hain ya hussain


insaaniyat ki shaan barhaayi hussain ne

insaaniyat bashar ko sikhaayi hussain ne

insaaniyat ki pyaas bujhaayi hussain ne

insaan jab hussain ke paykar me dhal gaya


insaan pukaari wa to izzo man tasha ke hamaare hain ya hussain

dunya ke har adab me hai hissa hussain ka

dunya ki har zabaan pe hai qabza hussain ka

insaan samajh raha hai ye rutba hussain ka


taarikh ko hussain ne hayraan kar diya

saare jahaan ke ehle qalam ne ye likh diya ke hamaare hain ya hussain

sureh me maa uti ke allah ne sunaaya

takhleeqe kul me insaan ashraf tujhe banaaya


insaan ka dard dil me insaan ke utaara

insaaniyat ka maktab ghar panjetan ka rakha

us ghar me panjetan ke ek shehr ko basaaya phir apna khun deke us shehr ko sanwaara

ye shehr naynawa hai ye shehr maariya hai


ye shehr karbala hai ye shehr karbala hai

dil hai to karbala dil hai to ya hussain

insaaniyat samajhne chalo karbala chalo

haan thaamlo hussain ke daaman ko thaamlo


hur jaun aur habib ki saf me khare raho

dil hai to ab hussain ki aawaaz ko suno

farmaate the hussain wo insaan nahi hai

lute jo dil ka chain wo insaan nahi hai


roein na jis ke nein wo insaan nahi hai

hans de jo sun ke bain wo insaan nahi hai


insaaniyat bachaaye wo insaan hai insaan

insaan ka dukh uthaaye wo insaan hai insaan


darse wafa sikhaaye wo insaan hai insaan

jo sab pe rehm khaaye ilm o amal barhaaye


insaaniyat bachaaye wo insaan hai insaan


insaan ko hussain ne insaan banaa diya

insaaniyat ke lab pe musalsal thi ye sada ke hamaare hain ya hussain

do tarha ke huwe karte hain jahaan me insaan

hain juda raaste donon ke ba qaule quraan


aadmi ek yazeede azali me ubhra

ek insaan hussain ibne ali me ubhra

us taraf khaam khayaali naya islaam bane

is taraf azme jalaali ke shariyat na mite


us taraf saltanat o daulat o taaqat ka ghurur

is taraf tchota sa ghar faaqon me hai mamba e noor

ek taaqat ke takabbur me jo itra ke chala

dusra nana ke marqad se dua paa ke chala


ek nau laakh ke lashkar ke liye saath chala

dusra god me asghar ko liye saath chala

us neze the talwaaren thi aur bhaale the

is taraf shauqe shahaadat liye dil waale the


us taraf jashn manaate the zamaane waale

is taraf bekas o be aas madine waale

ek taraf tashna dahaan sab ke sab khushk zabaan

unka maqtal ka jahaan ret saari thi tapaan


door thi nehre rawaan al hafiz o al amaan


al hafiz o al amaan


kya dil tha dil hussain alayhis salaam ka

jis me koyi khayaal na tha inteqaam ka

dil tha to dil pe kaare risaalat utha liya

dil tha to dil pe noore shahaadat utha liya


dil tha to dil pe baare qayaamat utha liya

dil tha khuda ke ishq me sab ghar luta diya

dil tha to dil pe daaghe bahattar utha liya

dil tha sambhal ke laasha e akbar utha liya


had hai janaaza e ali asghar utha liya

hussain dil hai tera

karbala kya thi laeenon ki shaqaawat kya thi

soch insaan ke saadaat ki ghurbat kya thi


eid guzri hai abhi yani ke eide qurbaan

aap ne pura kiya hoga ye rukne imaan

chand sharten hain zabiha ki baraaye insaan

sharte awwal hai ke kamsin na ho bimaar na ho aur bhuka na ho paani ka talabgaar na ho


ru ba ru saamne haywaan ke haywaan na ho

waqte zibha wo ghari bhar ko pareshaan na ho

shart ye bhi hai churi bhi na dikhaawo us ko

zibha se pehle qazaa se na daraawo us ko


ho churi tez magar haath ho narmi se rawaan

ek hi waar me ho jaaye zabiha qurbaan


al hafiz o al amaan


ab jigar thaam ke ay momino ye haal suno

lo zaraa maqtale shabbir ka ehwaal suno

haaye haywaan ki dame zibha sharaayat itni aur jis ghar se ye mansub huwi qurbaani

us ki aulaad ki maqtam me ye tauqeer huwi

koyi bhi shart zabihe ki nibhaayi na gayi


al hafiz o al amaan


sharte awwal thi ke kamsin na ho tanwaan bhi ho

dudh pita na ho mar jaane ke imkaan na ho

tum ko ab maadare asghar ki qasam ehle azaa

qatl asghar jo huwe sochiye wo kya sin tha


tisra faaqa tha tche maah ka sin waweila

ek bhi daant na nikkla tha ali asghar ka

ek baalisht ka kurta tha ali asghar ka

dudh pina bhi na tchuta tha ali asghar ka


pehla kamsin hai ke jo zibha nahi nehr huwa

teere seh pehlu se maasum ko bhi maar liya


al hafiz o al amaan


sharte dowum thi ke haywaan na ho bhuka pyaasa aur haftum se the saadaat bina aab o gizaa

halq tar karte hain kassaab bhi qurbaani ka aur bahattar ko dame zibha bhi paani na mila

jalti reti pe kahin akbar o abbas ghire aur kahin aun o mohammad aur qaasim the pare

zibhe haywaan ka nahin hukm hai haywaan ke huzur


yaan na shabbir se zainab na sakina thi door

shaah un ko, wo suwe shaahe umam dekhte the

zibha hote the hussain ehle haram dekhte the

hussain ya hussain


mana dikhlaana churi ka hai pa e qurbaani

yaan tha nau laakh ke narghe me ali ka jaani

ek jaana khareedaar eaazan billah

har taraf zzalim o khun khaar eaazan billah


apne rutbe ke kisi ko na shanaasa dekha

dekha pyaase ne jise khun ka pyaasa dekha

aakhri shart churi tez ho narmi se rawaan

ta ke tarpe na aziyat se zaraa bhi haywaan


aakhri sajda idhar karne lage shaahe hoda

kund karta huwa khanjar ko idhar shimr chala

tera zarbon se sare sayyade waala kaata aur mazlum har ek zarb pe deta tha sada

zarb pe zarb lagi kehte the amaa amma


zarbe aakhir pe kaha ho mere abbas

mere abbas kahaan