hamare khoon mein shaamil hai ye aza e hussain
khuda ne khalq kiya hai hamay baraye hussain
ataa kiya abu talib ko laal kaabe se
khudayi teri hai mamnoon ay khuda e hussain
hamare khoon mein...
mere habeeb na sajde se aaj sar uthay
ye hukme rabb hai ke jab tak na ho raza e hussain
hamare khoon mein...
mere hussain ne tauheed ko bachaya hai
hussainiyat ko bachayega kibriya e hussain
hamare khoon mein...
tujhi se aaj bhi qaayim hai naam e rabb e ulaa
tabhi to naaz mashiyat tere uthaye hussain
hamare khoon mein...
ba-surate shahe duldul sawaar al madadi
fiza mein goonj rahi hai abhi sada e hussain
hamare khoon mein...
ataa karega wohi be-pisar ko saath pisar
raza e kaatib e taqdeer hai raza e hussain
hamare khoon mein...
pisar ki laash ko dekhegi kis tarha maadar
dar e rabab pe baithe hai sar jhukaye hussain
hamare khoon mein...
khuda ka shukr ada kar rahe hai maqtal mein
jawan bete ki mayyat galay lagaye hussain
hamare khoon mein...