nauha kuna hai zainabe muztar ali ke baad
kohraam hai machaa hua ghar ghar ali ke baad
mehraab ghamzada hai namazi kidhar gaya
veraan hai rasool ka mimbar ali ke baad
nauha kuna hai...
manzar ubhar ke aa gaya bazaar e shaam ka
zainab ke sar se jab giri chadar ali ke baad
nauha kuna hai...
shehzaadi ban ke aayi thi kufe mein kal yehi
dar dar phiri hai zainabe muztar ali ke baad
nauha kuna hai...
jo sar tha bosa gaahe ali o mohamadi
naize pe chad gaya hai wohi sar ali ke baad
nauha kuna hai...
kuch khoon e murtaza ki hai kuch karbala ki hai
surkhi jo chaa gayi hai falak par ali ke baad
nauha kuna hai...
ro ro ke kufa waalon se kehte thay ye ali
zainab ko koi maare na pathar ali ke baad
nauha kuna hai...
asghar sa naunehaal bhi khoon mein naha gaya
ujda hai is tarha se bhara ghar ali ke baad
nauha kuna hai...
guzra hai ye bhi saaneha is ghar pe ay zafar
zehra ki betiyan hai khule sar ali ke baad
nauha kuna hai...