Kanz e Aza

Qatl Ali Hogaye

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

shab chaak gareban sehar girya kuna hai

maqlooq e khuda maa'il e faryad o fughan hai

maa bain zameen aasman mehshar ka samaa hai

uneesween ramzan ka ye haal bayan hai

tareekh ye wo hai jo qayamat se nahi kam

ay momino sar peeto karo girya o matam


inna lillahe wa inna ilaihe rajeeoon

ya ali ya aeliya ya ali ya aeliya


qatl ali ho gaye ramzan mein

dard hai jibreel ke aelaan mein


masjid e kufa se jab gham ki ye aayi khabar

binte ali ro padi seena o sar peet kar

kufe mein ek shor tha ya ali ya aeliya

hogaya matam bapa ya ali ya aeliya

kis ne ye dhaayi jafa ya ali ya aeliya

gham hai bapa khana e yazdan mein

qatl ali ho gaye...


shabbar o shabbir se behno ne rokar kaha

dekho to jaa kar zara kyun hai ye aah o buka

aati hai har soo sada ya ali ya aeliya

gham hai ye sab se bada ya ali ya aeliya

haye ghazab ho gaya ya ali ya aeliya

hashr bapa hai dil e veraan mein

qatl ali ho gaye...


daud ke masjid gaye shabbar o shabbir jab

baap ko is haal mein dekha ke haye ghazab

beto ne ro kar kaha ya ali ya aeliya

kyun huye humse khafa ya ali ya aeliya

khoon jo baha aap ka ya ali ya aeliya

deen e mohamed bhi hai nuqsan mein

qatl ali ho gaye...


baap ko lekar gaye ghar mein jo dono pisar

pairon mein baithi koi koi sambhale thi sar

fizza ki aayi sada ya ali ya aeliya

jab se ye sadma mila ya ali ya aeliya

dil ka sukoon lut gaya ya ali ya aeliya

sang hai ya dil seena e insan mein

qatl ali ho gaye...


kufe ke bewa yateem padte hai ye marsiya

koi sahara nahi maula tumhare siwa

ab ye musibat zada ya ali ya aeliya

kaise jiyenge bhala ya ali ya aeliya

aap thay gham ki dawa ya ali ya aeliya

nauha hai ye shehr e bayaban mein


nauha hai kulsoom ka kis se mai poochun bhala

kyun bin e muljim ne ki baba ye tum par jafa

jurm na koi khata ya ali ya aeliya

zulm ki hai inteha ya ali ya aeliya

kunba tadapne laga ya ali ya aeliya

khaak hai baalon mein gareban mein

qatl ali ho gaye...


rehmaton aur barkaton waala mahina ye tha

jis mein mere baba ka khoon bahaya gaya

rehmat e mehwe buka ya ali ya aeliya

barkat e mehwe buka ya ali ya aeliya

naymat e mehwe buka ya ali ya aeliya

bughz jo tha qalb e musalman mein

qatl ali ho gaye...


mazhar o mesum ne ye kehke uthaya qalam

eid se pehle mila aal e mohamed ko ghum

bibiyon ka marsiya ya ali ya aeliya

aaj se hai ibteda ya ali ya aeliya

imtehan e karbala ya ali ya aeliya

nauha hai maula ke yatemaan mein

qatl ali ho gaye...