Kanz e Aza

Har Dil ki Sada

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Yasir Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

kehte hai ahle aza har dil ki hai ye sada

ya hussain ya hussain


kehta hai khud ye khuda zehra ki jaan marhaba

ya hussain ya hussain


tu ne bichaya musalla wahan

dam tod de khud ibadat jahan

is hausle par tere qurban salle alaa

ya hussain ya hussain

kehte hai ahle aza...


aadam ke dam ke muhafiz ho tum

musa ki haibat mein naafiz ho tum

isaa ka tum maujiza tum khizr ke rehnuma

ya hussain ya hussain

kehte hai ahle aza...


raushan tere noor se noore hai

ghairat zada jalwa e toor hai

khoon se tere hogayi matti bhi khaake shifa

ya hussain ya hussain

kehte hai ahle aza...


ye hausla to kisi mein nahi

quwaat kisi ye nabi mein nahi

tu ne uthaaye magar baazu e shaah e wafa

ya hussain ya hussain

kehte hai ahle aza...


tum ne sitam kis tarha se saha

tum ne ye gham kis tarha se saha

laasha jawan laal ka kaandhon pe kaise rakha

ya hussain ya hussain

kehte hai ahle aza...


is gham mein kaampe zameen aasman

is gham mein tadpe ye kaun o makaan

asghar ka tu ne lahoo chehre pe kaise mala

ya hussain ya hussain

kehte hai ahle aza...


ran mein musibat ye tum par padi

tum par qayamat ki thi ye ghadi

khanjar talay haath jab maa ne teri rakh diya

ya hussain ya hussain

kehte hai ahle aza...


aisi kisi ki bhi mayyat nahi

yasir kisi ki ye ghurbat nahi

tareekh mein ek hai teeron pe laasha tera

ya hussain ya hussain

kehte hai ahle aza...