Kanz e Aza

Hum Ek Hai

A noha written by Zeeshan Abidi, Mazhar Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

bolo na bolo na maula maula hussain

hussain hussain hussain hussain


saare jahaan mein hai mazhab do hi

ek yazeedi ek hussaini

kaam nahi hame dunya se koi

hum ne to chunli raah tumhari

jo haq pe jeete marte hai

jo baatil se takrate hai

jo dil mein tujhe basate hai

hum unko gale lagate hai


jo bhi pukare naam tumhara

hum uske hai wo hamara

hum ek hai ya hussain


abbas ke parcham ke saaye mein

ek hai ya hussain

hum ek hai ya hussain


maula tu zindabad rahega

saare jahan ne hai maana

kaam hi aisa tu ne kiya hai

har dil hai tera deewana

tere liye ab haath utha kar

bolega saara zamana

ho wo shia ya sunni

ban kar saare hussaini

mil ke lagayenge naara

hum ek hai ya hussain...


hum zinda qaum hai hum ne bataya

jab bhi muharram aaya

ek alam ke saaye mein aaye

aur ittehad dikhaya

yaade hussain mein pani pilaya

apna ho ya ho paraya

kaale libaas waale

hum hai abbas waale

hum ko hussain hai pyara

hum ek hai ya hussain...


hussain jab tu ek hai to

teri qaum ho kaise juda juda

hai jo bhi tere chaahne waale

unhe salamat rakhe khuda

hum ek hai hum ek hai

dil ek dhadkan ek hai

har dil ki sada hai

ya hussain ya hussain

seeno pe likha hai

ya hussain ya hussain

tera naam hai pyara

millat ka hai naara

tu hai maula hamara ya hussain


abbas ke parcham ke saaye mein

ek hai ya hussain

hum ek hai ya hussain...


ek khuda hai ek mohamed

ek kitaab hamari

ye teri mehnat ka sarmaya

ek hai ummat saari

ab saari qaumein karti hai mil kar

maula teri azadari

ghar ghar mein safe matam

ghar ghar pe tera aalam

ye bhi karam hai tumhara

hum ek hai ya hussain...


jo bhi pukare naam tumhara

hum uske hai wo hamara

hum ek hai ya hussain...


halqa e matam mein jaa kar hi

dekhe hai hum ne nazare

na koi rang na mazhab millat

farq mita diye saare

karbobala se farshe aza se

milte hai hum ko ishare

har aane waale hurr ko

bas ye kehte hai hum to

dil se hai dil dil ko sahara

hum ek hai ya hussain...


taareekh mein likhi jayengi

safar e ishq ki baatein

har rango nasl ke log khade hai

sab ki alag hai zabanein

sab tujhse milne aate hai maula

teri taraf hai nigahein

chal kar dekh zamana

najaf se karbobala

ye keh raha hai har nazara

hum ek hai ya hussain...


abbas ke parcham ke saaye mein

ek hai ya hussain

hum ek hai ya hussain...


jab zulm kahin par hota hai

khamosh kahan hum rehte hai

na darte hai na jhukte hai

hame log hussaini kehte hai

haq ki ladayi ho to hum ko

jaan nahi hai pyari

kisne kaha hum ek nahi hai

sun le ye dunya saari

chaahe jahan bhi rehte ho lekin

yek jaa hai qaum hamari

dunya mein baat jab bhi

hussainiat pe aayi

hum jeete hai yazeed haara

hum ek hai ya hussain...


jo bhi pukare naam tumhara

hum uske hai wo hamara

hum ek hai ya hussain...


ishq kiya jaata hai kaise

saare jahan ko bataya

ashoor ki shab aap ne maula

jab wo charaagh bujhaya

jisne yahan se jaana hai jaaye

ansaar se farmaya

koi gaya na uth kar

kehne lage bahattar

saath na chodenge tumhara

hum ek hai ya hussain...


kaise uthaya laasha e akbar

dil phat raha hai hamara

dafn kiya asghar ka laasha

maula ye dil tha tumhara

jab karbala mein koi rawana

maula tumhara sahara

tum ko gale laga ke

rahwaar pe bitha ke

saani e zehra ne pukara

hum ek hai ya hussain...


ay pyare nabi ke pyare hussain

zahra ki aankh ke taare hussain

tere chaahne waale aaye hai

tere alam ke saaye saaye hussain

aur ashk baha kar kehte hai

ye mazhar o zeeshan o meesam

sada rahega hussain ka gham

sada rahega hussain ka gham