jahan hairaan hai saara ye kya hai
ye kaisa soz o gham ka silsila hai
ye kiska gham dilon par chaa gaya hai
hussain ibne ali wo badshaah hai
har qadam dil ki sada hai
har qadam ye har jagah hai
har qadam har dam naara
maula maula hussaina
ya hussain salwatullah
maula maula hussaina
hum haideri hum fatemi
hum karbalayi hai wallah
har qadam har dam naara
maula maula hussaina
wallah wallah
kya ishq e khuda hai wallah
ye aap se hai jaana
kya raaz hai mar kar jeena
is raaz ko pehchana
hairaan hai qurban hai
is baat par hum ba-khuda
jaan o dil tum par fida
maula maula hussaina
har qadam har dam naara
maula maula hussaina
ya hussain salwatullah
maula maula hussaina
ya hussain ya hussain hussain
ya hussain hussain hussain
ya hussain hussain hussain
maula maula hussaina
gham maula hussain tumhara
mere dil ka sahara hai
gham bhool gaye hum apna
gham yaad tumhara hai
nauha padhe matam kare
gham ye manaye rozana
matami ki hai sada
maula maula hussaina
har qadam har dam naara
maula maula hussaina
ya hussain salwatullah
maula maula hussaina
hum haideri hum fatemi
hum karbalayi hai wallah
har qadam har dam naara
maula maula hussaina
hussain ya hussain
ya hussain ya hussain
suno maula
mere ghar mein tumhari baatein
mere ghar mein aza khana
mere ghar mein alam ghazi ka
karta hai sada saaya
ye raunakein ye barkatein hai aap se
shukr e khuda ya hussain rahmatullah
maula maula hussaina
jab kahoge ya hussain
jab sunoge ya hussain
dil ko mil jayega chain
yehi sada e behro bar
yehi sadaaye khushk o tar
chalo chalo chalo karbala chalo
dar e hussain par ye sadayein do
wahan khuda to hai mustafa bhi hai
murtaza hassan fatema bhi hai
bawafa abbas bhi hai
chalo chalo chalo karbala chalo
chalo chalo karbala chalo
mere maula bechain hai dil
mera maula mujhe paas bulao na
ek baar tumhi ghazi ko
mera haal sunao na
kehna zara ye ilteja
poori kare shaah e wafa
aana hai ab karbala
maula maula hussaina
har qadam har dam naara
maula maula hussaina
ya hussain salwatullah
maula maula hussaina
ya hussain ya hussain hussain
ya hussain hussain hussain
ya hussain hussain hussain
maula maula hussaina
wo karbobala ashoora
wo mashk o alam darya
wo qasim o akbar ghazi
jalta hua har qaima
ay karbala tu hi bata kya
kya sitam sheh par hua
haye sakina ke baba
maula maula hussaina
har qadam har dam naara
maula maula hussaina
ya hussain salwatullah
maula maula hussaina
hum haideri hum fatemi
hum karbalayi hai wallah
har qadam har dam naara
maula maula hussaina
ya mazloom hussaina
ya mazloom hussaina
ya mazloom hussaina
ya mazloom hussaina
mazloom e karbala
mazloom e nainawa
har qadam har dam naara
maula maula hussaina