karti thi zainab aah o buka
hogayi amma mai tanha
maragaya majaya mera
haye hussaina haye hussain
ya zehra ya zehra
amma batao kaise jiyu'n
bin bhai ke kaise rahu'n
tanha jiya na jaega haye hussaina haye hussain
ya zehra ya zehra khushta shud hussainato
karbobala ke jungle me
sarko kata ke maqtal me
sota hai majaya mera haye hussaina haye hussain
ya zehra ya zehra khushta shud hussainato
ek badan sau zakhm lage
tegh sinan o teer chale
lab pe magar tha shukre khuda haye hussaina haye hussain
ya zehra ya zehra khushta shud hussainato
teghe sitam se khushk gala
kata gaya be jurm o khata
kaanp utha maidain e bala haye hussaina haye hussain
ya zehra ya zehra khushta shud hussainato
pamaali ki zad me hai bhai
aake bachale ab koi
be gor o kafan lasha hai pada haye hussaina haye hussain
ya zehra ya zehra khushta shud hussainato
ghar ke ujale maaregaye
goud ke paale maare gaye
koi nahi abid ke siva haye hussaina haye hussain
ya zehra ya zehra khushta shud hussainato
bali sakina hai muztar
neend aayegi ab kyu'nkar
seena mila na baba ka haye hussaina haye hussain
ya zehra ya zehra khushta shud hussainato
anjuman e saqqae haram
karti rahegi sheh ka gham
rota hai kehkar farshe aza haye hussaina haye hussain
ya zehra ya zehra khushta shud hussainato
meri tammana hai anwar
qabr pe sheh ki roro kar
nazr karu'n mai ye nouha haye hussaina haye hussain
ya zehra ya zehra khushta shud hussainato